Hum log rog ki chikitsa ke liye kai paddhati apnate hai. Un me se adhik prachalit hone wala paddhati hai allopathy jo jaldi ashar karta hai. Ye ALLOPATHY nam Samuel Hanimen ne hi rakha jo ki homeopathy ke janma data hai. Allo ka matlab anya or pathy ka matlab paddhati hota hai. 

Is chikitsa paddhati se rogi ko bahot jald hi aram milta hai. Agar chikitsa sahi hisab se kiya jaye to . Turant rahat pane ke liye ye paddhati bahut badhiya hai. Par kabhi kabhi iska dusparinam bhi dekhne ko mila hai. Ye paddhati lambe samay ke liye upayogi nahi hai kyu ki is ke lambe samaya tak upayog karna sharir ke liye hani karak ho sakta hai.    

Is chikitsa paddhati me upayog hone wala sabhi dawa chemical ki mishran se hota hai. Is paddhati me injection, tablet, syrup, malham ityadi ka prayog hota hai. 

Is paddhati ke chikitsa se logo ko jald hi rahat milta hai isliye aaj kal log is paddhati ko jyada apna rahe hai. 

Is paddhati ke upachar ke liye is paddhati se anubhavi chikitsak hona jaruri hai. Kyonki allopathy medicine ko sahi matra me byavahar kia jae to parinaam safal hota hai anytha sharir ko hani bhi pahoch sakta hai. Kai prakar ki injection, tablet, syrup hai jinka pratikriya alag alag hote hai. Kabhi kabhi iske laparvahi se logo ki jan bhi ja sakta hai